nigah-e-lutf kabhi gar wo mast-e-naz kare

nigah-e-lutf kabhi gar wo mast-e-naz kare
niyaz-mand ko aalam se be-niyaz kare

wo sar-nawisht-e-jabin par baja hai naz kare
jo aastan pe tere sajda-e-niyaz kare

na tere chahne walon mein ho ye jang-o-jadal
ishaara gar na teri chashm-e-fitna-saz kare

bujhaen pyas kahan ja ke tere mastane
jo saqiya dar-e-mai-khana tu na baz kare

jahan mein shor hai aur wo nigar parde mein
ajab ho sair jo wo rukh se parda baz kare

nahin wo lazzat-e-azar-e-ishq se aagah
sitam mein aur karam mein jo imtiyaz kare

jo chahe garmi-e-hangama bazm-e-dauran mein
sada buland kare aur zaban daraaz kare

jo bazm-e-uns mein chahe ki sham-e-mahfil ho
tu dil mein ishq se paida zara gudaz kare

inhin ke husn se hai garm ishq ka bazar
dua khuda se hai umr-e-butan daraaz kare

fasana-go se kaho mukhtasar ho qissa-e-jam
hadis-e-gesu-e-jaanan zara daraaz kare

ye silsila gham-e-dauran ka hai abad paiwand
sukun dil ka jo chahe wo tark-e-az kare

khuda ka nam bhi lo bazuon se kaam bhi lo
to fikr-e-kar khudawand-e-karsaz kare

hawa-o-hirs se 'nazir' rahe jo pak nazar
to hamsari na haqiqat ki kyun majaz kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close