nisf se dekh zara kam na ziyaada aadha bant lete hain mohabbat tujhe aadha aadha mehrban ishq mujhe kat diya jaega hone wala hai mera dast-e-kushada aadha chauk mein dekhne wale the tamasha us ka jis ko ghurbat mein mayassar tha labaada aadha mere behis main tujhe milne nahin aaungi aaj taqsim hua mera irada aadha kuza-gar mujh ko bikharna hai bikhar jaane de meri tajsim mein shamil hai burada aadha teri duniya bhi meri tarah ujad jaegi rah gaya mujh mein agar sabr ka madda aadha baqi aadhi to kisi aur ki mutthi mein dabi pusht par main ne tujhe zist hai lada aadha