nuqush-e-umr-e-guzishta samet late hain ye rang rang ke baadal kahan se aate hain kabhi kabhi safar-e-zindagi se ruth ke hum tere khayal ke sae mein baith jate hain tasawwuraat ke hasrat-kade mein kaun aaya charagh ta-had-e-ehsas jalte jate hain hamein hai dar koi tar-e-umid tut na jae sambhal sambhal ke unhen haal-e-dil sunate hain bana gae hain wo yun saz-e-arzu ghar ko ki aaj tak dar-o-diwar gungunate hain unhin se hai mere ashkon ki aabru 'kausar' jo aab-o-rang-e-ghazal ko ghazal banate hain