pareshan is tarah hone se kya hoga wahi hoga jo manzur-e-khuda hoga kabhi socha nahin main ne mohabbat mein wo mujh se ruth kar aise khafa hoga nahin koi shikayat hai mujhe us se shab-e-furqat mein wo bhi to jala hoga chaloge kab talak tum un ke kandhon par bhala kya khak tum ko tajraba hoga bahut hi mushtarak the dard donon ke yaqinan aashiqi ka masala hoga khud apne zehn ki gahraiyon mein gum kisi kambal mein wo lipta pada hoga sadak pe raushni ki daud jari hai andhera aage aage bhagta hoga mere atraf ki khalwat mein tanha wo mujhe shiddat se 'anwar' dhundhta hoga