pas-e-ghubar madad mangte hain pani se

pas-e-ghubar madad mangte hain pani se
ye log tang hain mitti ki hukmarani se

ye hath sukh ke jhadne ko ho gae lekin
main dast-kash na hua teri mehrbani se

phir us ke baad phalon mein mithas aai nahin
shajar ne kaam liya tha ghalat-bayani se

kisi jazire pe shayad khula ye bagh koi
mahak gulab ki aati hai bahte pani se

main tere wasl ka lamha bacha sakun shayad
mera talluq-e-khatir hai raegani se

nawah-e-shahr mein phaili hai maut ki khushbu
magar ye log ki lagte hain jawedani se

tere visal ke mausam mein ustuwar hua
koi ajab sa talluq jahan-e-fani se

tu mil gaya hai to achchha hua wagarna dost
kise gharaz thi mohabbat mein kaamrani se

pahunch chuke hain mohabbat mein us jagah hum log
jahan yaqin nahin aata yaqin-dahani se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close