peDon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi

pedon ki ghani chhanw aur chait ki hiddat thi
aur aise bhatakne mein anjaan si lazzat thi

in kohna fasilon ko pahron hi take jaana
in khali jharokon mein jaise koi surat thi

hairan si nazron mein ek shakl gurezan si
ek saya-e-guzran se wo kaisi mohabbat thi

har jumbish-e-lab us ki dastak thi dar-e-dil par
har waqf-e-khamoshi mein taqrir ki lazzat thi

har din ke guzarne mein har raat ke dhalne mein
har chashm-zadan manzil har sans masafat thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close