phir jo dekha dur tak ek KHamushi pai gai

phir jo dekha dur tak ek khamushi pai gai
main to samjha tha ki ek meri hi goyai gai

phir wahi baadal ki ji udne ko chahe jin ke sath
phir wahi mausam ki jab zanjir pahnai gai

phir wahi tair wahi un ki ghazal-khwani ke din
phir wahi rut jis mein meri naghma-pairai gai

kuchh to hai aakhir jo sara shahr tariki mein hai
ya mera suraj gaya ya meri binai gai

tham gae sab sang sab shor-e-malamat ruk gaya
main hi kya ji se gaya sari saf-arai gai

puchhti hai dastaken de de ke shorida hawa
kis ka khema tha ki jis mein raushni pai gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close