phir koi KHalish nazd-e-rag-e-jaan to nahin hai

phir koi khalish nazd-e-rag-e-jaan to nahin hai
phir dil mein wahi nashtar-e-mizhgan to nahin hai

kyun sham se dube se ho ummid ke taro
aabaadi-e-dil-e-shahr-e-khamoshan to nahin hai

kyun hai dil-e-wahshat-zada bezar gulon se
ta-hadd-e-nazar rah-e-bayaban to nahin hai

kyun uthne lage aaj qadam jaanib-e-sahra
phir josh-e-junun silsila-e-jumba to nahin hai

ai dost rah-e-zist bhi hai tira-o-pur-kham
lekin ye teri kakul-e-pechan to nahin hai

har chot ka hasil hain bilakte hue aansu
ye dard ye gham qismat-e-insan to nahin hai

ai kash koi mauj mujhe itna bata de
sahil pe bhi ye shorish-e-tufan to nahin hai

har shai mein tere husn ki zau dekh raha hun
han mujh ko teri zat ka irfan to nahin hai

phulon ki tarah hansne lage zakhm hazaron
dil bhi kahin majruh-e-bahaaran to nahin hai

lahrane lage kyun meri palkon mein hasin khwab
ye saya-e-gesu-e-pareshan to nahin hai

ye rang ye khushbu ye tabassum ye shuaen
ye anjuman-e-zohra-jabinan to nahin hai

ai dost main jita hun tere gham ke sahaare
aghyar ka mujh par koi ehsan to nahin hai

yun dil hai har ek ranj-o-alam ka mutahammil
lekin gham-e-dauran gham-e-jaanan to nahin hai

ye naz ye andaz ye shokhi ye adaen
ai dil ye kahin bazm-e-hasinan to nahin hai

ye chaal ye aankhen ye nazar dekhna 'muztar'
ye shokh wahi rashk-e-ghazalan to nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close