phul jaisi hai kabhi ye Khaar ki manind hai

phul jaisi hai kabhi ye khar ki manind hai
zindagi sahra kabhi gulzar ki manind hai

tum qalam ki dhaar ko kam mat samajhna dosto
ye qalam to hai magar talwar ki manind hai

chaar din ke waste sab ko mili hai dahr mein
zindagi bhi ret ki diwar ki manind hai

pas paisa hai nahin phir bhi jahan mein mast hun
zindagi apni kisi fankar ki manind hai

zindagi kis waqt dhoka de de 'ambar' kya pata
ye bhi lagta hai kisi ghaddar ki manind hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close