pyase ko har qatra sagar lagta hai

pyase ko har qatra sagar lagta hai
har manzar ab us ka manzar lagta hai

hum ne apne qad ko itna khinch liya
jab bhi uthte hain chhat mein sar lagta hai

aaya hai wo jab to koi baat kare
us ki is khamoshi se dar lagta hai

hoti hai tab apne ki pahchan hamein
pith mein jab bhi koi khanjar lagta hai

milta hai wo jab bhi aa kar khwabon mein
yaadon ka ek mela shab-bhar lagta hai

din-bhar khwab nazar aate hain mahlon ke
sham dhale foot-path pe bistar lagta hai

warna to hain 'shokh' faqat kuchh diwaren
wo jab aa jata hai to ghar lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close