qaid mein gar mujhko apni bandhta rah jaega

qaid mein gar mujh ko apni bandhta rah jaega
mere rahte wo mujhi ko dhundhta rah jaega

yun to badlega nahin kuchh bhi tere jaane ke baad
daman-e-khwahish magar han bhigta rah jaega

meri khamoshi hi de degi use sare jawab
wo sawal apne hi dil se puchhta rah jaega

kirchiyan kuchh khwabon ki chubhti rahegi aankhon mein
baad tere umr bhar ka rat-jaga rah jaega

mubtala gar ishq mein ai dil hua to soch le
zindagi bhar zindagi ko dhundhta rah jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close