qalam mein raushni kam aur dhuan ziyaada hai ghazal likhi to tabiat rawan ziyaada hai mujhe to ilm nahin tu koi hisab laga kahan pe kam hai mohabbat kahan ziyaada hai faqir ladki hun mere liye mere khaliq jo sach kahun jo diya tu ne han ziyaada hai mere makan ka sahra se kya muwazana hai yahan pe shor ziyaada ziyan ziyaada hai hamare hisse hai jo bhi hamein nahin malum zamin ziyaada hai ya aasman ziyaada hai ab us ki wapsi mumkin nahin kisi bhi tarah yaqin se kahin wo bad-guman ziyaada hai hamare shahr mein phulon ka zikr kaun kare hamare shahr mein 'sadi' khizan ziyaada hai