raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha

raat-bhar jo samne aankhon ke wo mah-para tha
ghairat-e-mahtab apna daman-e-nazzara tha

ban gae girdab sail-e-ashk jae gard-baad
abr-e-tar ki tarah main jis dasht mein aawara tha

tu ne aankhen pher lin yan kaam aakhir ho gaya
tair-e-jaan pa-e-band-e-rishta-e-nazzara tha

shab tere partaw se labrez-e-latafat tha chaman
har gul-e-shabbu se jari nur ka fawwara tha

mujh ko dam lene ki bhi fursat na duniya mein mili
roz-e-maulid shadiyana kuch ka naqqara tha

khurrami hoti hai bedardon ko sair-e-bagh mein
hum ne jis gul par nazar ki ek gul-e-sad-para tha

khwab mein bhi yar tak mumkin na tha dakhl-e-raqib
jin dinon apna khayal akhbar ka harkara tha

shab nazar ki main ne furqat mein jo su-e-asman
azhdaha thi kahkashan aqrab har ek sayyara tha

ai ajal di tu ne bar-e-jism se aa kar najat
kab se meri pith par ye khak ka pushtara tha

khauf sab jata raha dil se azab-e-hijr ka
naqd-e-jaan dena gunah-e-ishq ka kaffara tha

kahte hain mara gaya wo jurm-e-tegh-e-naz se
kucha-e-qatil mein 'nasikh' nam jo bechaara gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close