raat bhi baqi hai sahba bhi shisha bhi paimana bhi

raat bhi baqi hai sahba bhi shisha bhi paimana bhi
aise mein kyun chhed na den hum zikr-e-gham-e-jaanana bhi

basti mein har ek rahta hai apna bhi begana bhi
haal kisi ne puchha dil ka dard kisi ne jaana bhi

hae tajahul aaj hamin se puchh rahe hain ahl-e-khirad
sunte hain is shahr mein rahta hai koi diwana bhi

aakhir saf tak aate aate har paimana chhalka hai
lekin hum tak aate aate tut gaya paimana bhi

jis se dil ka zakhm hara ho aisa koi zikr na chhed
jis mein us ka nam na aae aisa ek afsana bhi

shahr ki ranga-rang nigaro dil walon ki qadr karo
mahfil mein donon jalte hain shama bhi parwana bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close