raat guzri to yaqin tha ki sawera hoga kya khabar thi ki wahi ghor-andhera hoga rah mein jin se tha saya wo shajar sukh gae ab khuda jaane kahan apna basera hoga na-shanasan-e-mohabbat se tawaqqo hai fuzul jo khud apna na hua kis tarah mera hoga ham-nashino shab-e-furqat ko ghanimat samjho ab koi sham na hogi na sawera hoga aastinon mein hai sanp apne chhupae jo shakhs wo mera dost ho kyon koi sapera hoga tul khincha hai bahut tira-shabi ne lekin tabal-e-subh ke bajte hi sawera hoga subh-e-sadiq ki shuaen ye batati hain 'wafa' subh-e-kazib ka bas ab dur andhera hoga