raat phir khwab mein aane ka irada kar ke chand duba hai abhi mahw-e-nazara kar ke tishnagi had se guzar jaegi sahil ke qarib faeda kya hai samundar ka taqaza kar ke hairati hun abhi tuta hai bharam ulfat ka de gaya mat wo phir mujh ko bahana kar ke karta rahta tha mazahan wo bahut si baaten ab raqam karte rahe us ko fasana kar ke mat chhal shah to faqat khel hai ek is ke liye rakh diya meri mohabbat ko tamasha kar ke chhod jaane ko wo kahta tha pa malum na tha yun chala jaega dam-bhar mein paraya kar ke aakhir 'asra' teri fitrat mein ye ujlat kyun hai dekh le ranj abhi aur gawara kar ke