raaz-e-chashm-e-mai-gun hai kaif-e-muddaa mera ghair ki nazar se hai dur mai-kada mera waste ki khubi ne sahl manzilen kar din husn ishq ka rahbar ishq rahnuma mera kar diya mujhe be-khud un ki be-niyazi ne kah raha hun khud un se dil sambhaalna mera hae khauf-e-badnami wae fikr-e-nakaami bewafa ke hathon mein hasil-e-wafa mera lutf-e-khalwat-o-jalwat hum na pa sake lekin dhum har taraf un ki zikr ja-ba-ja mera tarz-e-walihana ki dad kab mili mujh ko naz-e-dost kab nikla surat-ashna mera sochne lagegi kuchh teri khush-nigahi bhi raegan na jaega yun hi dekhna mera main ne jab kabhi dekha sar jhuka liya tu ne tu ne jab kabhi dekha dil tadap gaya mera ishrat-e-hijab az-khud chaarasaz-e-dil kya ho saz ho jab ai zalim soz-ashna mera meri khasta-haali ne sai-e-khud-shanasi ki un ki khud-numai ne jab kiya gila mera hai jo hazrat-e-'manzur' e'tibar-e-in-o-an izn-e-be-khudi le kar puchhiye pata mera