raftagan ki sada nahin main hun

raftagan ki sada nahin main hun
ye tera wahima nahin main hun

tere mazi ke sath dafn kahin
mera ek waqia nahin main hun

kya mila intiha-pasandi se
kya main tere siwa nahin main hun

ek muddat mein ja ke mujh pe khula
chand hasrat-zada nahin main hun

us ne mujh ko muhaal jaan liya
main ye kahta raha nahin main hun

main hi ujlat mein aa gaya tha idhar
ye zamana naya nahin main hun

meri wahshat se dar gae shayad
yar baad-e-fana nahin main hun

main tere sath rah gaya hun kahin
waqt thahra hua nahin main hun

gahe gahe sukhan zaruri hai
samne aaina nahin main hun

sarsari kyun guzarta hai mujhe
ye mera majra nahin main hun

us ne puchha kahan gaya wo shakhs
kya batata ki tha nahin main hun

ye kise dekhta hai mujh se udhar
tere aage khala nahin main hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close