rah kar bhi tujh se dur tere aas-pas hun hijran mein jal rahi hun main jaise kapas hun qabza kiya hai kis ne ye mere shuur par ek umr ho gai hai mujhe bad-hawas hun duniya na dekh paegi tera koi bhi aib mujh ko pahan ke dekh main tera libas hun jis se mera sukun bhi dekha nahin gaya dawa wo kar raha hai tera gham-shanas hun main muskura ke baat to karti hun ai 'siya' ab kis ko main bataun ki kitni udas hun