rang ke gahre the lekin dur se achchhe lage

rang ke gahre the lekin dur se achchhe lage
adh-khili un khidkiyon par jamuni parde lage

khushk hoti bel se diwar chhuti dafatan
zard patton ko bachate phul khud girne lage

pakke rishton mein daradon ki kahani khul gai
dubne wale ko sare hi ghade kachche lage

ek takhayyul jism odhe aan baitha samne
lafz bhi ab soch ko taswir sa karne lage

bail ne bas sing badle aur duniya hil gai
chand lamhe shahr ka jughrafiya likhne lage

be-zarurat ghonsle par ek chidiya muztarib
do parinde aaj pahli bar hain udne lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close