ranj-o-alam ke bab ka unwan ishq hai isar ke nisab ka unwan ishq hai aghyar ka khayal jo dil se nikal de hurmat ke us sarab ka unwan ishq hai mahsus aaftab ki jis se na ho tapish gesu ke us sahab ka unwan ishq hai har dam tayyar hai jo karae ko sar qalam aise jari shabab ka unwan ishq hai anjam garche tur hai khwahish ke bab ka didar be-hijab ka unwan ishq hai pahle guzar ho aag se pani se khak se phir jawedan khitab ka unwan ishq hai zulmat se nikal ke 'sahba' jo nur de raushan usi kitab ka unwan ishq hai