raushni ka sabab ishq hai naghmagi ka sabab ishq hai khak-e-napak ki khalq par bartari ka sabab ishq hai ruh mein khilte jazbaat ki tazgi ka sabab ishq hai mujh se be-bak insan ki bebasi ka sabab ishq hai mujh faqir-e-kam-amez ki sarwari ka sabab ishq hai sar-kashi ka sabab hai hawas bandagi ka sabab ishq hai bais-e-ishq hai zindagi zindagi ka sabab ishq hai ai 'sahar' man bhi le teri shairi ka sabab ishq hai