raushni rangon mein simTa hua dhoka hi na ho

raushni rangon mein simta hua dhoka hi na ho
main jise jism samajhta hun wo saya hi na ho

aaina tut gaya chunta hun reza reza
isi aaine mein mera kahin chehra hi na ho

main to diwar ke is par rawan hun kab se
koi diwar ke us par bhi chalta hi na ho

wo jo sunta hai meri baat bade ghaur ke sath
baad jaane ke mere mujh pe wo hansta hi na ho

jagti aankhon mein kyun phailta jata hai khala
kha gai hai jise duri tera rasta hi na ho

mod har rah pe panw se lipat jate hain
wo mujhe chhod ke chal de kahin aisa hi na ho

us ke milne pe bhi mahsus hua hai 'sarmad'
us ne dekha hi na ho main ne bulaya hi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close