rawan rahta hai kis ki mauj mein din raat tu pani

rawan rahta hai kis ki mauj mein din raat tu pani
tujhe kis gauhar-e-nayab ki hai justuju pani

wahi mere liye saqi mai-e-gulfam ban jae
jo apne dast-e-nazuk se pila de mujh ko tu pani

agar dariya mein tum dast-e-hinai apne dho lete
to ab tak ho gaya hota kabhi ka surakh-ru pani

kiya karte the badh badh kar bahut baaten safai ki
mere ashkon ne kar di motiyon ki aabru pani

bahut aasan hai muztar zalil-o-khwar ho jaana
jo mushkil hai to chashm-e-khalq mein kuchh aabru pani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close