ruh ke zaKHm ko lazim hai nihan ho jaana

ruh ke zakhm ko lazim hai nihan ho jaana
ghair-mumkin hai us ek shai ka bayan ho jaana

khun de kar bhi unhen kaise bachaya jata
jin charaghon ka muqaddar tha dhuan ho jaana

dekhta rah gaya virana-e-hasti mein koi
apne zakhmon ka bahaaran ki zaban ho jaana

chalna padta hai har ek rah mein ek umr 'taraaz'
itna aasan nahin manzil ka nishan ho jaana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close