ruKH-e-bahaar pe aks-e-KHizan bhi kitni der

rukh-e-bahaar pe aks-e-khizan bhi kitni der
mukhalifat pe tula aasman bhi kitni der

kisi ka nam kisi ka nishan bhi kitni der
ho jism khak to phir ustukhwan bhi kitni der

shikast-o-rekht ki is manzil-e-pareshan mein
yaqin ki umr bhi kitni guman bhi kitni der

bandha hai ahd jo tegh-o-gulu ke beach to phir
larazti kanpti nannhi si jaan bhi kitni der

nikal chalo hai abhi sahl rasta yaro
ki mehrban hai to ye mehrban bhi kitni der

bara-e-shab bhi kushada hai mera darwaza
ki subh aai to ye mehman bhi kitni der

sukhan-wari na sahi moajiza sahi lekin
ye tarz-e-fikr ye husn-e-bayan bhi kitni der


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close