sabab kya hai kabhi samjhi nahin main

sabab kya hai kabhi samjhi nahin main
ki tuti to bahut bikhri nahin main

rakhi hai guftugu us se har ek pal
sukhan jis se kabhi rakhti nahin main

ye chot apne hi hathon se lagi hai
kisi ke war se zakhmi nahin main

karun kyun yaad tere khal-o-khad ab
shikasta aaine chunti nahin main

ajab thi rahguzar bhi ham-rahi ki
qadam rakh kar kabhi palti nahin main

jo pahunchi sahilon par tab khula hai
ki ab wo tishnagi rakhti nahin main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close