sabhon se yun to hai dil aap ka KHush

sabhon se yun to hai dil aap ka khush
agar puchho to hai hum se hi na-khush

khushi teri hi hai manzur hum ko
bala se gar koi na-khush ho ya khush

rawaq-e-chashm o qasr-e-dil kiya sair
na ki par aap ne yan koi ja khush

jafa kar ya wafa mukhtar hai tu
mujhe yaksan hai kya na-khush hai kya khush

nahin us mein to ghair-az-jaur lekin
mujhe kya jaane kya aai ada khush

kiya hai garche na-khush tu ne hum ko
rakhe par ai butan tum ko khuda khush

khushi hai sab ko roz-e-id ki yan
hue hain mil ke baham aashna khush

bhala kuchh bhi munasib hai meri jaan
ki ho tu aaj ke din mujh se na-khush

bata aisi koi tadbir 'bedar'
ki jis se howe mera dilruba khush


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close