sadd-e-rah aap agar laghzish-e-raftar na ho

sadd-e-rah aap agar laghzish-e-raftar na ho
rah-rau ko rah-e-dushwar bhi dushwar na ho

duriyan duri-e-manzil ke tawahhum ki thin
dekh nazdik rag-e-jaan hi kahin yar na ho

kar sake kaise jila koi us aaine par
bar-e-saiqal bhi uthane ko jo tayyar na ho

kahin us ke liye manzil ki khuli hai aaghosh
jis mein josh-e-safar-e-kucha-e-dildar na ho

josh-e-wahshat mein nikal jaiye basti se magar
sar kahan phodiye jab samne diwar na ho

hasil-e-girya-e-shab kya ye gudaz-e-shabnam
daman-e-sabza-o-gul bhi jo guhar-bar na ho

kisi gul-bute ka kya hoga nigahban 'arif'
jo ki khud apne gulistan ka wafadar na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close