sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai

sahar ko de ke nai nikhat-e-hayat gai
na jaane kis ki gali se nikal ke raat gai

junun ne daulat-e-dil ko nisar kar dala
pukarti hi rahi aql kaenat gai

shab-e-firaq ka itna bhi gham na kar ai dil
su-e-sahar hi gai aaj tak jo raat gai

pade hain rah mein kuchh phul khak-aluda
koi janaza utha ya koi baraat gai

'shamim' ahd-e-guzishta ki guftugu na karo
wo din gae wo mohabbat gai wo baat gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close