salamti ki dua ka samar bana hua hai tumhaare bagh ka pauda shajar bana hua hai wo jis ke waste phulon ka ehtimam hua faza-e-dil se wahi be-khabar bana hua hai mile jo koi mujhe dil churane lag jae tamam shahar tera jadugar bana hua hai ajib baat hai dil bhi wahin pe tute hain har ek shakhs jahan karigar bana hua hai kahin pe masala footpath par tajawuz ka kahin pe masala diwar-o-dar bana hua hai sukun kyun nahin karte thake hue manzar tumhaari aankh mein bistar agar bana hua hai