samne ek kitab adh-khuli aur main

samne ek kitab adh-khuli aur main
be-sabab shama jalti hui aur main

be-sada ek naghme ke hain muntazir
daf bajati hui khamushi aur main

waqt ki kokh ka bar-mahal saneha
ye jahan muztarib zindagi aur main

kuchh parind aasman se utarte hue
lutf-andoz jin se nadi aur main

waqt ki shakh par khushnuma phul the
wo gali husn ki sadgi aur main

gardish-e-rang-o-bu mishalen aur tu
be-karan ek khala tirgi aur main

jism dhansne laga raat ki qabr mein
phir wahi khwab ki aagahi aur main

jism par reng uthin be-badan chitiyan
phir wahi dhup si chandni aur main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close