samundaron mein sarab aur KHushkiyon mein girdab dekhta hai

samundaron mein sarab aur khushkiyon mein girdab dekhta hai
wo jagte aur rah chalte ajab ajab khwab dekhta hai

kabhi to rishton ko khun ke bhi fareb-e-wahm-o-guman samjha
kabhi wo narghe mein dushmanon ke hujum-e-ahbab dekhta hai

shanawari ras aae aisi samundaron mein hi ghar bana le
kabhi talash-e-guhar mein apne tain wo gharqab dekhta hai

kabhi taqaddus-e-tawaf ka sa kare hai tari wo jism o jaan par
saron pe girta hua kabhi lanaton ka mizab dekhta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close