saqiya aisa pila de mai ka mujh ko jam talkh zindagi dushwar ho aur ho mujhe aaram talkh main to shirin-tar shakar se bhi samajhta hun use jab wo dete hain bura kah kar mujhe dushnam talkh bazm-e-mai mein zikr tak aane nahin dete hain wo hai hamara nam goya zahr ka ek jam talkh kya sabab lete nahin wo nam tak mera kabhi khauf is ka hai na ho jaen zaban-o-kaam ki talkh ishq ke phande se bachiye ai 'haqir'-e-khasta-dil is ka hai aaghaz shirin aur hai anjam talkh
Please share if you liked this!!!