sar-ba-sar yar ki marzi pe fida ho jaana kya ghazab kaam hai raazi-ba-raza ho jaana band aankho wo chale aaen to wa ho jaana aur yun phut ke rona ki fana ho jaana ishq mein kaam nahin zor-zabardasti ka jab bhi tum chaho juda hona juda ho jaana teri jaanib hai ba-tadrij taraqqi meri mere hone ki hai mearaj tera ho jaana tere aane ki bashaarat ke siwa kuchh bhi nahin bagh mein sukhe darakhton ka hara ho jaana ek nishani hai kisi shahr ki barbaadi ki narawa baat ka yak-lakht rawa ho jaana tang aa jaun mohabbat se to gahe gahe achchha lagta hai mujhe tera khafa ho jaana si diye jaen mere hont to ai jaan-e-ghazal aisa karna meri aankhon se ada ho jaana be-niyazi bhi wahi aur talluq bhi wahi tumhein aata hai mohabbat mein khuda ho jaana azhdaha ban ke rag-o-pai ko jakad leta hai itna aasan nahin gham se riha ho jaana achchhe achchhon pe bure din hain lihaza 'faris' achchhe hone se to achchha hai bura ho jaana