sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin

sar pe mere bhi thi dastar-e-fazilat lekin
mujh ko hasil thi mere rab ki maiyyat lekin

ishq aaya to main paband nahin rah paya
ishq se qabl tha paband-e-shariat lekin

bewafa hogi tere khun ki harakat sahab
hum ko hai hind ke zarre se aqidat lekin

meri ghazlon mein hai shahin mahaz ek chidiya
ab bhi ek raaz hai shahin ki haqiqat lekin

hai sadaqat ki hai kashmir zamin ki jannat
ahl-e-kashmir ko milti hai aziyyat lekin

muntazir pak ki rahen thin qadam-bosi ko
hum ne bhaarat ko hi samjha tha ghanimat lekin

shar-pasandon ko na ras aaya watan ka dastur
dar-haqiqat hai mere mulk ki zinat lekin

chahta hai ki kare sher-o-sukhan se tauba
us se 'tasnim' ki milti hai tabiat lekin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close