sar se junun-e-ishq ka sauda nikaliye

sar se junun-e-ishq ka sauda nikaliye
ya apne dil se khwahish-e-duniya nikaliye

ya hath bandh lijiye duniya ke samne
ya hath khol kar yad-e-baiza nikaliye

ya mom ban ke khud ko hawadis mein dhaaliye
ya sang se sharar-e-tamanna nikaliye

ya pyas apni abr-e-karam se bujhaiye
ya khud pahad kat ke dariya nikaliye

ye kya ki sari umr ba-tarz-e-janabe-shaikh
pagdi se apni ilm ka turra nikaliye

tahqiq mein to baal ki bhi khaal khinchiye
takhliq mein pahad se chuha nikaliye

taqat ke aage garba-e-miskin ki myaun myaun
na-taqati ko dekh ke panja nikaliye

nahaq ki wah wah mein taqrir-e-dil-pazir
haq ke khilaf aql ka shosha nikaliye

bebak hai jo 'baqar'-e-ashufta-sar bahut
kuchh us ki sarzanish ka bahana nikaliye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close