saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kaTe

saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kate
pyar ki rasm ko chamkao ki kuchh raat kate

jab ye tai hai ki gham-e-ishq bahut kafi hai
gham ka mafhum hi samjhao ki kuchh raat kate

subh ke sath hi hum khud bhi bikhar jaenge
do-ghadi aur thahar jao ki kuchh raat kate

daman-e-dard pe bikhre hue aansu ki tarah
meri palkon pe bhi lahrao ki kuchh raat kate

zikr-e-gulzar sahi qissa-e-dil-dar sahi
zakhm ke phul hi mahkao ki kuchh raat kate

ek ek dard ke sine mein utar kar dekho
ek ek sans mein lahrao ki kuchh raat kate

dil ki wadi mein hai tarik ghataon ka hujum
chandni ban ke nikhar jao ki kuchh raat kate

qatil-e-shahr se bach kar main abhi aaya hun
main akela hun chale aao ki kuchh raat kate

farsh kirnon ka bichha degi sahar aa ke 'rais'
dil ke zakhmon ko bhi chamkao ki kuchh raat kate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close