shahr-e-dil be shabab hai kam hai

shahr-e-dil be shabab hai kam hai
jitni haalat kharab hai kam hai

tujh ko singar ki zarurat kya
par ziya rukh kitab hai kam hai

us tajalli pe parda rakhne ko
ye jo rukh par hijab hai kam hai

teri duniya ke jo diwane hain
un ka khana-kharab hai kam hai

ek ummid dil ki hai mushkil
chashm qaid-e-sarab hai kam hai

zindagi tujh pe kyon mara jae
ye jo jina azab hai kam hai

mai-kashi gar ilaj-e-gham thahri
phir to jitni sharab hai kam hai

ek takhil se hi is dil ki
ye jo haalat kharab hai kam hai

zabt ka khud pe ajr hai lekin
jitna us ka sawab hai kam hai

kar do masla hamare lashe ka
gar ye hukm-e-janab hai kam hai

shahr ki tirgi mitane ko
hath mein aaftab hai kam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close