shahr ki viran saDak par jashn-e-gham karte hue

shahr ki viran sadak par jashn-e-gham karte hue
ja raha hun khushki-e-mizhgan ko nam karte hue

zindagi tanha safar par gamzan hoti hui
aur hum yaadon ko pichhli ham-qadam karte hue

bol uthte hain kai barson purane zakhm bhi
dil ho jab masruf apni chup raqam karte hue

us ka bhi kahna yahi barbaad ho jaoge tum
aur hum bhi thik waisa dam-ba-dam karte hue

mehrbani lazmi hai khud bhi apni zat par
harj kaisa aap apne par karam karte hue

dang rah jaoge tum apne karam-farma ko jab
dekh loge ek dafa ghar mein sitam karte hue

ain-mumkin hai tadap uthna hamara ek din
yaad mein allah ki yaad-e-sanam karte hue

jaane kis dam le ude ye maut ka jhonka 'amar'
ek din khak-e-badan ko khud mein zam karte hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close