shakl-e-mizhgan na khar ki si hai hum ne tadi katar ki si hai hans ke kahte hain bosa-bazi mein jit bhi apni haar ki si hai ishq-e-mizhgan mein hum ne kanton se sozani jism-e-zar ki si hai us pe aalam-fareb hai duniya phus badhiya madar ki si hai garm-raftar hai wo jaane mein mujh ko aamad najar ki si hai apni aankhon mein har gali taswir 'shad' putli kumhaar ki si hai