sham se pahle teri sham na hone dunga

sham se pahle teri sham na hone dunga
zindagi main tujhe nakaam na hone dunga

udte udte hi bikhar jaen par-o-baal ai kash
tair-e-jaan ko tah-e-dam na hone dunga

bewafa logon mein rahna teri qismat hi sahi
in mein shamil main tera nam na hone dunga

kal bhi chaha tha tujhe aaj bhi chaha hai ki hai
ye khayal aisa jise kham na hone dunga

lagne dunga na hawa tujh ko khizan ki main 'zafar'
phul jaisa tera anjam na hone dunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close