shararat hai manane ki ya manwane ka jhagda hai hain donon suraten qatil qayamat jaisa jhagda hai tasawwur mein tera chehra zehn mein baat hai teri ye duri kaisi duri hai ye jhagda kaisa jhagda hai manana bhi nahin aasan samajh jaana bhi hai mushkil zara sa waqt do mujh ko ye khud se pahla jhagda hai kahin par phul khilte hain kahin par sher hote hain magar jo sab se aala hai wo tera mera jhagda hai ahd ki baat mat chhedo wafa ka zikr rahne do usi se bad-gumani hai usi ka sara jhagda hai wazifa padh liya main ne ki wo khamoshiyan tuten khuda to phir khuda hai aur khuda se kaisa jhagda hai na tha ilzam us ke sar na thi meri khata koi ye uktahat ki duri hai ye be-wajh ka jhagda hai