sharminda nahin kaun teri ishwa-gari ka be-wajh nahin munh ka chhupana hai pari ka jo lab ko tere dekh ke behosh na howe dawa usi ko bhata hai sahab-jigari ka tum dil hi mein palte rahe ho sikha kahan se ai ashk ye shewa jo liya parda-dari ka jis tarah sune mujh se kahe yar se ja kar ye dhab kisi ko aata hai paighambari ka patthar se hon dil yak-nigah-e-garm mein pani hai ishq se ijad hunar shishagari ka chal aaina-khane mein ki hai zor-e-tamasha jis tarf nazar kijiye aalam hai pari ka afsos shab-e-hijr ki sham aate hi mar gae kya kya tha bharosa hamein aah-e-sahari ka kar qatl mujhe shauq se badnami se mat dar dastur nahin kushte pe yan nauhagari ka hairan hun aai na nazar mein kamar us ki dawa tha mujhe apni 'raza' dida-wari ka