shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya

shauq ko be-adab kiya ishq ko hausla diya
uzr-e-nigah-e-dost ne jurm-e-nazar sikha diya

aah wo bad-nasib aah nala-e-andalib-e-ah
mera fasana-e-alam jaise mujhe suna diya

tut saka na pasti-e-fikr-o-nazar ka silsila
dam na qafas ko hum ne khud dam-o-qafas bana diya

mere mazaq-e-did ki sharm usi ke hath hai
jis ne shua-e-husn ko husn-e-nazar bana diya

naz-o-niyaz aashna taghaful-e-e'tibar
hae kis ehtimam se tum ne mujhe mita diya

khub ilaj kar diya apne mariz-e-ishq ka
dard mitane aae the dard diya mita diya

hae wo husn-o-ishq jab 'basit'-e-be-qarar ko
barq-e-nigah-e-dost ne phunk diya jala diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close