soz-e-dil hai khamushi se jal ke bujh jaane ka nam zindagi hai sham-e-gul ke ashk barsane ka nam meri nazren aap ki jaanib hain duniya par nahin aap kya kahte hain dekhun apne diwane ka nam hai farogh-e-shama tak hangama-e-bazm-e-hayat subh-dam leta nahin hai koi parwane ka nam husn hai ek be-niyazana charagh-e-dil-fareb ishq hai anjam se be-khauf jal jaane ka nam ahl-e-danish ko na jaane kya zarurat aa padi le rahe hain aaj-kal farzane diwane ka nam