suhane KHwab aankhon mein sanjona chahta hun

suhane khwab aankhon mein sanjona chahta hun
mein ab aaram se kuchh der sona chahta hun

shajar ko bar-awar dekhna maqsad nahin hai
ki mein to bas zamin par khwab bona chahta hun

mere hanste hue bachcho ye sara ghar tumhaara
main rone ke liye bas ek kona chahta hun

nawah-e-zist mein kyun barishen hoti nahin hain
main pichhle mausamon ke zakhm dhona chahta hun

bas us ke aane tak mausam mujhe sarsabz rakhna
use ek khar ab main bhi chubhona chahta hun

mujhe be-khwab rakhti hai kabhi duniya kabhi dil
main bachchon ki tarah be-fikr sona chahta hun

hawao kya tumhaara mehrban shana milega
dahaden mar kar main aaj rona chahta hun

jise hai jaan aziz apni utar jae kinare
main apni naw maujon mein dubona chahta hun

'salim' ab aandhiyon se ham-rakabi kis liye hai
sar-e-mizhgan bacha kya hai ki khona chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close