suKHan ko tul na de apni ehtiyaj bata

sukhan ko tul na de apni ehtiyaj bata
utha na dil ki koi baat kal pe aaj bata

khada hun dar pe sarasimgi ke aalam mein
wo mujh se puchh raha hai ki kaam-kaj bata

mufahamat meri koshish supurdagi tera kaam
tu apne shahr-e-junun ka mujhe riwaj bata

khud apne hath se apni uda chuka hun khak
ab aur kya ho mukafat-e-ehtijaj bata

kitab-e-dil ko main tartib de raha hun phir
hawa-e-taza hai kaisa tera mizaj bata

wo gah shoala hai 'sahba' to gah shabnam hai
kahin pe dekha hai aisa bhi imtizaj bata


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close