suKHan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna

sukhan mein sahl nahin jaan nikal kar rakhna
ye zindagi hai hamari sambhaal kar rakhna

khula ki ishq nahin hai kuchh aur is ke siwa
raza-e-yar jo ho apna haal kar rakhna

usi ka kaam hai farsh-e-zamin bichha dena
usi ka kaam sitare uchhaal kar rakhna

usi ka kaam hai is dukh-bhare zamane mein
mohabbaton se mujhe mala-mal kar rakhna

bas ek kaifiyat-e-dil mein bolte rahna
bas ek nashshe mein khud ko nihaal kar rakhna

bas ek qamat-e-zeba ke khwab mein rahna
basa ek shakhs ko hadd-e-misal kar rakhna

guzarna husn ki nazzargi se pal-bhar ko
phir us ko zaiqa-e-la-zawal kar rakhna

kisi ke bas mein nahin tha kisi ke bas mein nahin
bulandiyon ko sada paemal kar rakhna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close