tabib kahte hain juz wahm-e-khwab kuchh bhi nahin to kya jo hum ne sahe wo azab kuchh bhi nahin hamari dasht-nawardi tumhaare kaam aai tumhein ye kaun batata sarab kuchh bhi nahin nazir us ki main kya dun ki samne us ke charagh mah sitara gulab kuchh bhi nahin tamam umr kiya main ne kar-e-la-hasil ki madh-e-husn-e-butan ka sawab kuchh bhi nahin koi latif si shai ho to hum piyen saqi hum ahl-e-dil ki nazar mein sharab kuchh bhi nahin agar mein jazb na kar panw raushni 'kashif' to mah kuchh bhi nahin aaftab kuchh bhi nahin